ya ali maula hyder maula
shaahe mardan shere yazdan quwwat e parwardigaar
la fatah illa ali la saif illa zulfiqar
kis tarha chalti thi ran may taygh e shere kirdigaar
ashqiyan may har taraf se al amaan ki thi pukar
kar chuka jab zer marhab ko shahe dul dul sawaar
aa rahi thi ye sada dewaar o dar se baar baar
shaahe mardan shere yazdan quwwat e parwardigaar
la fatah illa ali...
jis tarha koi khuda e paak se bartar nahi
jis tarha koi rasool allah ka humsar nahi
ek hai dunya may hyder doosra hyder nahi
misle hyder ye kisi ki taygh may jauhar nahi
ek taraf saari ibadat ek taraf hyer ka waar
la fatah illa ali...
yaad kar lo door kyun jaate ho kal ki baat hai
jang ke maidan may kaam aaya wo kiski zaat hai
mehwe hairat muttasil lashkar se kayenaat hai
fatho nusrat aaj bhi naam e ali ke saath hai
goonjta hai hyderi naaron se dashte kaar zaar
la fatah illa ali...
kaam aaya phir wohi jab sakht aaya imtehan
naam se jiske larazte hai zameen o aasman
laakh jalta ho ali ke kaarnaamo se jahan
sab se afzal aaj hai dunya may hyder ka nishan
aaj bhi sajti hai seeno par yehi ek yaadgaar
la fatah illa ali...
juz ali tha kaun haq ke waste seena sipar
kaun uth'ta tha rasool allah ki awaaz par
kis ne qurban kar diya raahe khuda may apna ghar
is haqeeqat se bhala hum kis tarha phere nazar
hai isi aawaaz par takbeer ka daar o madaar
la fatah illa ali...
kehte the aun o mohamed maadar e ghamkhwar se
is tarha jang may ladenge lashkar e kuffaar se
sab hame tashbeeh denge jaafar e tayyar se
bach ke jaa payega koi kya hamare waar se
khaynch denge taygh se hum badr ke naksh o nigaar
la fatah illa ali...
kya koi rokega hum ko matam e shabbir se
baandh de koi hame gar aahni zanjeer se
muttasil ho jaaye gardan bhi agar shamsheer se
kyun na ho mehshar aqeedat shaah e khyber geer se
ya ali keh denge tab ruk jayegi khanjar ki dhaar
la fatah illa ali...