shab chaak gareban sahar girya kuna hai
makhluke khuda ma'ilay faryad o fughan hai
maa bain zameen aasman mehshar ka samaa hai
uneesveen ramzan ka ye haal bayan hai
tareekh ye wo hai jo qayamat se nahi kam
ay momino sar peeto karo girya o matam
faarigh jo tahajud se huve faatahe khybar
aur sehan may aaye jyunhi hujre se nikal kar
bas khasd kiya hi tha abhi jaane ka bahar
hota ke ada fajr ka wo farze muqarar
murghabiyo ne ghayr liya haq ke wali ko
darwaze pe jaane nahi deti thi ali ko
darwaze pe jaane...
goya huye murghabiyo se haidar e karrar
is uns ki de tumko jaza khaaliq e ghaffar
naale na karo sabr karo ay meri ghamkhar
jo waqt mueyan hai wo talta nahi zinhaar
daaman ko mere chor do yun ashq na barsao
masjid may mujhe jaane do darwaze se hatt jao
masjid may mujhe...
pahunche jyunhi masjid may ali dekha ye manzar
aunda pada sota hai layeen ek zameen par
jab uske qareeb pahunche to goya hue hyder
utt pairawe iblees shaqi aur sitamgar
maloom hai sab kis liye tu aaya hai koofa
kis kaam ke karneka yahan par hai irada
kis kaam ke...
ye kehke azan dene lage khalq ke maula
mehrab e ibadat may hue zeb e musalla
masroof huwe itaat may apne shahe waala
thi fajr ki pehli hi rakat pehla wo sajda
talwaar rakhab se bine muljim ne lagayi
do para kiya sar ko jabeen tak utar aayi
do para kiya...
sar peet ke kehte thay namazi ke ay jallad
kya kar diya ye khana e haq may sitam ejaad
ki haq ke wali par ye bhala kis liye bedaad
faryad hai faryad hai faryad hai faryad
is shor e fughan ko suna hasnain ne jis dum
masjid ko chale ghar se wo karte hue matam
masjid ko chale...
hasnain ne aaluda ba khoon baap ko paaya
wo bain kiye jis se ke moo ko jigar aaya
phir ek chataai pa gharaz unko litaya
ghamkaron ne zaqmi shahe safdar ko uthaya
ghar laaye mubada kahin haalat na bigad jaye
sar khole hue saniye zahra na nikal aaye
sar khole hue...
daakhil hue jab ghar may pisar baap ko lekar
yun naala o shevan se bapa hogaya mehshar
thaame hue thi beti koi paun koi sar
aahista se hujre may litaya unhe jaakar
tha warde zaban wa-aliya aaho buka may
awaaz yahi goonjti thi arzo samaa may
awaaz yahi goonjti...