shaheede karbala hussain
khateele nainawa hussain
hussain hussain hussain hussain
hai waqte ruqsate hussain
sakina kar rahi hai bain
na jaaye tanha chod kar
mitega sab ke dil ka chain
zabihe maariya hussain
hussain hussain…
wo zulm kaun sa raha
jo aap par nahi hua
siwaye sabr o shukr ke
zuban se kuch nahi kaha
ghamon ki intehan hussain
hussain hussain…
ay sher ghaziyon utho
hamara haal dekh lo
haazar nauso aur pachaas
hai zaqm behta hai lahoo
bina e la-ilaah hussain
hussain hussain…
ay mere bhai saf shikan
ay baazu e shahe zaman
kamar khameeda kar gaya
teri judaai ka mehan
sukoone mustufa hussain
hussain hussain…
kahan ho akbar e jari
ye kyun hai beta berukhi
akela reh gaya pidar
qabar lo aake baap ki
kharaar e sayyeda hussain
hussain hussain…
udoo ke teer shola baar
badan ko kar gaye figaar
magar sambhala dosh par
tane imam e zeewaqaar
nishana e jafa hussain
hussain hussain…
ye maqtal e hussain ka
bayan hashr tha bapa
zameen larazti thi anees
falak se aati thi sada
qateel e maariya hussain