Kanz e Aza

Shahenshah Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

hussain

hussain

hussain


dard e dil ka ilaaj karta hai


hussain


ishq is se samajh karta hai


hussain


karbala main woh kal akela tha


hussain


aj har dil pe raj karta hai


hussain

shehanshah hussain

shehanshah hussain


sirf tujh se dosti hai ya hussain

tere naam zindagi hai ya hussain

tera dost mera dost ya hussain

dil se hai yeh dil kar rabta hussain


ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

saltanat-e-ishq ka sardar

hussain shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


shehanshah shehanshah hussain hussain shehanshah

saj raha hai sir pay amama rasool(s.a.w.w.) ka

hath main hai zulfiqar-e-sher-e-kibriya

hai libaas fatima(s.a.) kay hath ka sila

sir se pa noor ka silsila ba khuda

zuljinah pe sawaar


kia hasham hai kia wiqar


zuljinah pe sawaar


kia hasham hai kia wiqar

saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


tor di siyasat-e-yazeed ki bisaak

kufr say khuda kay deen ko mili nijaat

dasht-e-karbala main bant'ta raha hayat

yeh tera hosla keh utha kibriya


khaak ho gaye shifaa

ay karim-e-karbala

khaak ho gaye shifaa

ay karim-e-karbala


saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


hum ko rab se jo milay woh hussain(a.s.)


shehanshah


jo khuda ka deen bachae woh hussain(a.s.)


shehanshah


sar katay ghar lutay woh hussain(a.s.)


shehanshah


mar kay jeena jo seekhay woh hussain(a.s.)


shehanshah


asmat-o-ko jo jagay woh hussain(a.s.)


shehanshah


aasiyo ko hur(a.s.) banay woh hussain(a.s.)


shehanshah

ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


shehanshah shehanshah hussain(a.s.) hussain(a.s.) shehanshah

dur ko hur(a.s.) banane wala or kon hai

asmat-e-jaganay wala or kon hai

karbala bulane wala or kon hai

yeh tera faisla marziye kibriya


har zaban pay hai yeh baat


maanti hai kainat


har zaban pay hai yeh baat


maanti hai kainat


saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


ay mere mola hussain(a.s.)

kitne khush naseeb hain woh log

jo har saal karbala main

aap kay roze ki ziyarat karte hain or ktne aise log hain


jo har saal karbala jane walay qaaflo ko

hasrat se dekhte hain or har zaair se ro ro kar kehte hain

mere mola(a.s.) ko mera salam kehna or mera paigham dena


mola(a.s.) mola(a.s.)

mola(a.s.) mola(a.s.) karbala bula

mola(a.s.) mola(a.s.)

mola(a.s.) mola(a.s.) karbala bula


kitne baras bete hain yeh saal bhi guzra

ab bhi bula wa mera aya nahi mola(a.s.)


mola mola.) karbala bula


saanso ka meri ab to bharosa nahi raha

bas marne se pehle hai meri ek tamanna


mola mola.) karbala bula


khuwaish hai meri aakhir or awwaleen bhi

aashor karbala main karun arbaeen bhi


mola(a.s.) mola(a.s.)

mola(a.s.) mola(a.s.) karbala bula

mola mola.) karbala bula


mere lye bhi koi intezam ho mola(a.s.)

salam kay liye haazir ghulam ho mola(a.s.)

jo zaireen ki fehrist tu banata hai to zaireen main mera bhi naam ho mola(a.s.)


shah hussain shah hussain

shehanshah hussain

hussain


bad-e-karbala chala raha hai tu nizam

aankh dekhti hai tere ishq ka maqam

yeh najaf se karbala safar ka aehtemam

dum ba dum har qadam hai alam ka karam


barh rahe hain qafilay


keh rahe hain faasle


barh rahe hain qafilay


keh rahe hain faasle


saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


tere dar pay agay hain tere pyar main

tere zaireen hain tere hisaar main

sub kay jan-o-maal tere ikhtiyar main

ab hai tu ru baru ku baku allah ho


zaireen chaar so

markaz-e-nigah tu

zaireen chaar so

markaz-e-nigah tu


saltanat-e-ishq ka sardar

hussain(a.s.) shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain


shehanshah shehanshah hussain hussain

do jahan pay raj tera ay hussain

main hun tera tu hai mera ay hussain

dil main tera hai basera ay hussain


tu andhero main sawera ay hussain

humne tujh ko na bhulaya ay hussain

sath tune bhi nibhaya ay hussain

mazhar-o-farhan ki


ho qubool nokri

mazhar-o-farhan ki

ho qubool nokri


saltanat-e-ishq ka sardar

hussain shah

shehanshah

shah hussain shah hussain

shehanshah hussain

ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

ishq ka mayar hai

hum ko tujh se pyar hai

saltanat-e-ishq ka sardar


hussain(a.s.) shahhehanshah