SHAHER BANO YE KARTI THI NAUHA, HOGAYA KHALI ASGHAR KA JHULA
KAISE BHALAYE DIL AB YE DUKHYA, HOGAYA KHALI ASGHAR KA JHULA
Baal uske wo pyare jhandule
Khushk nanhe se wo honth uske
Ghutniyon bhi wo chalne na paya
Kaise bhalaye dil ab ye dukhya
Hogaya khali Asghar ka jhula
Sheh ke hathon pe run ko gaya tha
Teer zalim ne pyase ko maara
Dhal gaya mere bache ka manka
Kaise bhalaye dil ab ye dukhya
Hogaya khali Asghar ka jhula
Mere dilbar ki tishna dahani
Koi de deta do bondh pani
Rahem is par kisi ne na khaya
Kaise bhalaye dil ab ye dukhya
Hogaya khali Asghar ka jhula
Ungliyaan uski wo choti choti
Muthiyaan bhi na the usne kholi
Aise bache ko zalim ne maara
Kaise bhalaye dil ab ye dukhya
Hogaya khali Asghar ka jhula
Zulm ka teer gardan pa kha kar
Tha tabssum Rasheed uske labpar
Gham zada maa ke lab par tha nauha
Kaise bhalaye dil ab ye dukhya
Hogaya khali Asghar ka jhula