SHEH LA RAHE HAIN RUN SE NANHA SA EK JANAZA
Sunkar sadae hal min jhule se ran mein pohnche
Tashna dahan chale the khoo’n me naha ke aye
Maa ko gumaa’n ye kab tha lautenge is tarha se
Gardan dhali huwe thi tar khoo’n mein pairahan tha
Lagta tha aaraha hai sehraab hoke Asghar
Soncha to ye nahin tha aayega khoo’n naha kar
Armaan bas yehi tha phule phale ye dilbar
Ya rab kisi bhi maa ko manzar na ye dikhana
Sukha huwa gala wo aur teer hurmula ka
Wo teer ki aziyat wo karwatain badalna
Sukhe huwe gale se darya-e-khoon ka behna
Thame huwe dil apna manzar ye Sheh ne dekha
Nanhi se jaan pa tooti Allah kya qayamat
Jalta huwa wo sehra aur pyas ki wo shiddat
Wo hichkiyan labon par wo teer ki aziyat
Dunya mein kab kisi par aisa sitam huwa tha
Sarwar ye sochte hai ab maa ko kya bataon
Guzri jo us pe run mein rudaad kya sunao Kyu kar Rabaab ko ye zaqm-e-gulu dikhaon
Ruk ruk ke har qadam par ye sonchte the moula
Sehra-e-karbala mein manzar lahu lahu tha
Dast-e-Hussain par tha ek be zuban ka lasha
Tha aye Sohail mehshar Aale Nabi mein barpa
Deti thi jab sada ye khaime ke dar se Fizza