UMMAT KE ZULM-O-JOUR SE ZEHRA GUZAR GAYI
BETI NABI KI GHAM MEIN JO GHUT GHUT KE MAR GAYI
Darwaza Fatima pe giraya ghazab kiya
Zaalim ke dar se jaise hi peeche theher gayi
Pehlu shikista hogaya Mohsin huwe shaheed
Sadma uthake Qabr mein ba chashme tar gayi
Zehra ki pusht kham huwe Atthara (18) saal mein
Kya jald is jahaan se Zehra guzar gayi
Hasnain aur Zainab-o-Kulsoom baar baar
Hyder se poochte hain ke maadar kidher gayi
Karti thi bain Zainab-o-Kulsoom bas yehi
Hum ko yateem-o-bekaso hairan kar gayi
Bechain qabr mein huwe Sultan-e-Ambiya
Veeraa’n Ali ka ghar huwa Zehra jo mar gayi
Zehra ko dafn karke Ali roke kehte the
Duniya se Bint-e-Ahmede Mursal guzar gayi
Pehlu na paake maa ka hain Shabbir muztarib
Hyder dilase dete hain nana ke ghar gayi
Seena figaar hogaya Qasim ke bain se
Shiyo me aik hashr ka samaan kar gayi