sheh rage asghar pe haye
hurmala ka teer hai
dekh kar manzar hai naazan
maadar e baysheer hai
mai bhi qasim ki tarha
doongi asghar khwaab tha
aaj tu ne laaj rakhli
ye meri tabeer hai
sheh rage asghar...
hurmala ka teer kha ke
lab hilay masoom ke
koi pooche hurmala se
kya meri taqseer hai
sheh rage asghar...
ro pade paikan kamane
ghash mein saare ambiya
haath mein laasha pisar ka
sajde mein shabbir hai
sheh rage asghar...
khoon mein doobe huwe
laal se kehti thi maa
uth tujhe milne hai aayi
haye sakina dilgeer hai
sheh rage asghar...
dhoop mein tauseef ro ro
aal ajal ki de sada
muntazir maula khadi hai
aayat e tatheer hai
sheh rage asghar...