Kanz e Aza

Sheh ne Zainab se

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Qais Zangipuri. Lyrics in Roman Urdu.

sheh ne zainab se kaha maqtal may tum aana nahi

ay behan khanjar talay bhai ko tadpana nahi


chup gaye thay is tarha teeron may sar taapa hussain

aaye qaime may to ghar waalon ne pehchana nahi

sheh ne zainab se…


dekhiye milta hai kab tak laashe sarwar ko kafan

waadi e ghurbat hai koi apna begana nahi

sheh ne zainab se…


sheh ko seene se laga kar khuld may bole rasool

kya meri ummat ne beta tujhe pehchana nahi

sheh ne zainab se…


qabr may moo choom kar baysheer ka bole hussain

hum bhi aate hai abhi ay laal ghabrana nahi

sheh ne zainab se…


qais jis bekas ke matamdar kal hote thay qatl

aaj dekho kis jagah uska azakhana nahi

sheh ne zainab se…