zehr se tukde kaleja hogaya
mujtaba par zulm kaisa hogaya
poocha zainab ne ke ache thay abhi
dekhte hi dekhte kya hogaya
zehr se tukde…
kuch wasiyat kar rahe thay mujtaba
naagaha tabdeel naksha hogaya
zehr se tukde…
bole shabbar aah tum se kya kahe
ay behan tukde kaleja hogaya
zehr se tukde…
haath uthaya aur khudahafiz kaha
kuch na tha phir hashr barpa hogaya
zehr se tukde…
teer barse is khadar taboot par
soorate tarkash janaza hogaya
zehr se tukde…
qais do aansu bahakar bazm may
apni bakshish ka sahara hogaya
zehr se tukde…