Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai
Madine ka Musafir khaak par karwat badalta hai
Kaha'n hain Hazrate Ayub dekhe'n sabr ke Johar
Jawa'n Beta hai Godi me Pidar ki dam nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai
Ye poochha karte the Tifli me Akbar Sheh se kyun Baba
Jawani me jo mowt aaye to dam kyunkar nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai
Kaha Sheh ne ye Bano se ke Khaime me Chali jao
Ali Asghar ka Manka dhal chuka ab dam nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai
Laeeno Sayyade Sajjad par kode na barsaao
Bohut bimar hai iswaaste ruk ruk ke chata hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai
Zara Uthkar Lahad se Dekh lije Ya Rasul Allah
Janaze par Janaza Apke Ghar se nikalta hai
Qayamat ki tapish hai Karbala ka dasht jalta hai