Qaid khaane me Sakina ye baya'n karti thi
Kya andhera hai Phupi
Shama mangwaaiye warna Main nahi'n Jeene ki
Kya andhera hai Phupi
Apne seene se lagalo Main Tumhare sadqe godh me lelo Mujhe
Dil dhadakta hai Mera khaof se ghabrata hai jee
Kya andhera hai Phupi
Baba Aajaae'n to tab shimr ko hoga maloom kaon hai Ye Masoom
Kya samajh kar Mujhe yu'n ghurkiya'n deta hai shaqi
Kya andhera hai Phupi
Aaj ki shab ko bhi Baba kya nahi'n Aaenge Mujhko rulwaaenge
Unke seene pa agar soti to neend aa jaati
Kya andhera hai Phupi
Baad Mere ya'n agar howe Pidar ka aana Unse ye farmaana
Margayi ghut ke andhere me Tumhari Beti
Kya andhera hai Phupi