Kanz e Aza

Kya Mai Yateem

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

kyun mujhpe sitam dhaane laga shimr e sitamgar

kya mai yateem hoon


maqtal mein sakina ye buka karti thi ro kar

kya mai yateem hoon


khaata hi nahi rehm ghareebon pe zara bhi

durre wo lagata hai kabhi deta ghudki

reh reh ke mujhe hota hai ehsaas yahan par

kya mai yateem hoon...


dam ghut'ta hai is zulm ke mahol se mera

yaad aati hai baba ki to phat'ta hai kaleja

sone ke liye mujhko mila khaak ka bistar

kya mai yateem hoon...


sajjad bhi seene se lagate hai ye keh kar

ab laut ke aayenge nahi baba kabhi ghar

is baat pe chalte hai mere qalb pe khanjar

kya mai yateem hoon...


bas itna bata dijiye mujhko phuphi amma

kab tak mujhe is dasht mein rehna hai hirasan

baba ko sada deti hoo aate nahi kyun kar

kya mai yateem hoon...


bikhre huwe laashe hai bayaban mein har soo

is dasht mein kyun chod gaye hai mujhe ammu

kyun nahi leta koi khabar bhi meri aa kar

kya mai yateem hoon...


amma mujhe aaghosh mein tum apni chupa lo

kuch dayr to pehlu mein zara mujhko sula lo

mai jaagti rehti hoon to rehta hai yehi darr

kya mai yateem hoon...


ay baba kahan ho mai tumhe dhoond rahi hoon

har laash ko baba ki samajh kar mai giri hoon

patthar se kabhi laashon se khaati hoon thokar

kya mai yateem hoon...


bin baap ki bacchi ki fughan safdar o mazhar

ek marsiya lagne lagi qirtaas pe aa kar

jab khaak udaate huwe kehti thi wo muztar

kya mai yateem hoon...