Kanz e Aza

Marhaba ya Imam

A noha written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

sadiyon ki musafa tay kar ke umeed ka suraj nikla hai

umeed ka suraj dunya ke manzar ko badalne waala hai

manzar ke badalne waale ko quran ka waaris kehte hai

quran ke waaris ko hum sab din raat areeze likhte hai


ab waaris e hyder aata hai aasaar yehi batlaate hai

ghazi ka lam lehraate huwe ye saare hussaini kehte hai


marhaba ya imam marhaba ya imam

aa raha hai aa raha hai mera maula aa raha hai


parchame abbas lekar aane waala aayega

saare gham ab door honge waqt hamara aayega

raat zulmat ki chategi ek ujaala aayega

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...


phir se chamkegi fiza mein zulfeqar e hyderi

na rahenge phir munafiq aur na munkir koi

aashiqan e mustafa ka hoga honton par yehi

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...


waqt ki nafzein rahengi phir hamare haath mein

na aqeedon mein tafarqa hoga aur na zaat mein

matami kehte rahenge bas yehi har baat mein

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...


ek hi hoga aqeeda ek qibla aur namaz

ab kahan sajdon mein hoga be-yaqeeni ka jawaz

ab azan ban kar jahan mein goonj uthega haq aasar

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...


karbala waalon ka matam har gali hoga bapa

sab ke lab par aayega ab karbala ka tazkera

matami mahol hoga matami hogi fiza

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...


goonj uthegi fiza mein ye sada farhan ki

hai ali waris hamara sab pukarenge yehi

jo likha hai haq ikha hai tu ne mazhar abidi

ab to har dil ki sada har subha har ek shaam

marhaba ya imam...