Kanz e Aza

Mere Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

mere baba mai karun kya

khaak par neend nahi aati hai


yaad aata hai mujhe reh reh kar

aap ka seena tha mera bistar

aaj ye waqt pada hai baba

khaak bistar hai andhera chadar

din tadap kar mai guzarun

raat matam mein guzar jaati hai

mere baba mai karun...


kaun faryad sunega meri

saath hai mere meri tanhaai

kaan zakhmi hai jigar zakhmi hai

khoon kano se abhi jaari hai

koi marham na dawa hai

maut nazdeek hui jaati hai

mere baba mai karun...


shaam ko jaake dar e zindan par

roz mai dekhti hoo ye manzar

laut ke jaaye parinde jab ghar

dil mera rota hai bas ye keh kar

jaane kab mai jaaungi ghar

kab rehaai ki khabar aati hai

mere baba mai karun...


haye wo shaam e ghariban baba

bhool sakti hi nahi ye dukhiya

aag qaimon mein lagi jab baba

jal gaya aag se daaman mera

keh rahi thi mai ye khud se

tu yateemi ki saza paati hai

mere baba mai karun...


neel dekho mere rukhsaron ke

ye tamachon ke nishan hai gehre

mai jo roti hoo tumhare gham mein

maarta hai mujhe zaalim aa ke

jism qaidi rooh qaidi

ye aseeri mujhe tadpaati hai

mere baba mai karun...


jaan de dungi yahin ro ro kar

maut jeene se yahan hai behtar

aap talqeen padhana meri

ek ehsaan ye karna mujh par

chain se mai mar sakungi

ek yehi aas nazar aati hai

mere baba mai karun...


bayn jo mazhar o mesum ne padhe

thay yehi bali sakina ne kahe

saath gar aap hamare hote

hai yaqeen thaam ke dil ro dete

kya jahan mein koi ummat

yun yateemon pe sitam dhaati hai

mere baba mai karun...