Haye sakina haye sakina
Thi shaam ke zindaan me sakina ki yeh sada, Mere Baba aao , Mere baba aao
Bin aapke iss Qaid me dushwaar hai jeena, Mere baba aao , mere baba aao
1) Sajjad mere bhayya kaisi yeh musibat hai, Zaalim ke tamacho'n se har lamha Aziyat hai, Baali sakina roti hai, chaaya hai andhera
Mere baba aao , mere baba aao
2) Kab hoyegi is Qaid se jaane mujhe raahat, Shayad issi zindaan me hojayegi rehlat, Sunkar yeh bayaan bibiyo'n, me ek hai sakta
Mere baba aao , mere baba aao
3) Kehti hai phupi kuch tou hume bolo sakina, Aao yaha'n rassi tou zara kholo sakina, Masooma ke laboo pa hai, har dum yahi sada
Mere baba aao , mere baba aao
4) Kya aap hame Qaid se chudwaoge baba, Yaa mujhko isi tarha se rulwaoge baba, Ammu bhi nahi kisse, karungi mai yeh shikwa
Mere baba aao , mere baba aao
5) Kaano se lahoo behta hai har waqt humaare, Jo aapne pehnaye the cheene gaye bunde, Ab aur sitam sehne ki taaqat nahi baba
Mere baba aao , mere baba aao
6) Jis ghar ne na ho umme Rabbab aur sakina, Sheh kehte the wo ghar mujhe acha nahi lagta, Aaye hai Hussain ibne Ali sunke yeh buka
Mere baba aao, mere baba aao
7) Jab laashe sakina pa hua aakhri matam, Sab bibiya zainab ke qaree'n aagayi us dum, Is haal me Abid ka, bane kaun sahara
Mere baba aao , mere baba aao
8) Dil phatta hai ashko ki rawani hai sakina, Kaisi tumhari tashna-dahani hai sakina, Pursa yeh pesh karti hai, ab Nasere Aza
9) Kaise bayaan wo zulm ki rudaad ho hyder, Us waqt Qaidiyo me bapa hogaya mehshar, Jab toot'ti sanso me sakina ne pukara
Mere baba aao , mere baba aao