Kanz e Aza

Mere Baba Chale Aao

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

mere baba chale aao sakina yaad karti hai

kabhi zindan mein roti hai kabhi faryad karti hai


andhera din ye chaaya hai ke bas mai hoo andhere mein

raha na farq kuch shab ki siyaahi aur savere mein

fughan masoom ki har dil yahan nashaad karti hai

mere baba chale aao...


mai zindan ke andheron mein bhatak hi rahoo baba

tumhari yaad mein rokar tadapti hi rahoo baba

ghamon se aapki qurbat mujhe azad karti hai

mere baba chale aao...


chini hai baliyan kano se mere khoon tapakta hai

tamache shimr ke khaati hoo dil seene mein rota hai

naye mujh par sitam fauje sitam ejaad karti hai

mere baba chale aao...


tumhe dekhe bina dil ko sukoon milta nahi baba

charaghe ashk e gham jalta hai to bujhta nahi baba

sakina ab andheron ka nagar aabad karti hai

mere baba chale aao...


kabhi yaade ali asghar kabhi yaade ali akbar

satati hai mujhe pyare chacha ki yaad reh reh kar

bayan karbobala ki tay mein rudaad karti hai

mere baba chale aao...


nahi aaye agar baba tadap kar jaan dedungi

mai dadi jaan se khuld e bari mein jaake keh doongi

buka mehboob masooma paye faryad karti hai

mere baba chale aao...