mere baba mere baba
bhai jab maara gaya aap kahan thay baba
teer asghar pe laga aap kahan thay baba
qatl abbas hua aap kahan the baba
mere baba…
sab ye kehte hai ke hai naymate daawar pani
band karta hai kahan kaun kisi par paani
ye sitam ham pe hua aap kahan thay baba
mere baba…
pyase bachon ke liye jung jo abbas ne ki
aise yalghaar hue mashq e sakina na bachi
ek ek baazu kata aap kahan thay baba
mere baba…
aaya asghar sar e maidan to hua aur sitam
sukhe honton pe zuban usne phirayi jis dam
teer jab iske laga aap kahan the baba
mere baba…
mera dil-bande hasan jab nahi haara baba
is tarha milke sabon ne usay maara baba
laasha pamaal kiya aap kahan thay baba
mere baba…
baade shabbir hamara koi waris na raha
ashqiya aagaye qaimo mein hua hashr bapa
jab chini mere rida aap kahan thay baba
mere baba…
jab har ek ehle sitam aag lagane aaya
itna sajjad tha bemaar ke utha na gaya
jal ke sab khaak hua aap kahan thay baba
mere baba…
sunke farmeina ali ne mere beti mat ro
aazmaish ye hai ham sab ki abhi sabr karo
dil magar kehta raha aap kahan thay baba
mere baba…
mai to har gaam pe tha saat tumhare beti
chup tha bas marzi e mabood ke maare beti
tum ne ye kaise kaha aap kahan thay baba
mere baba…
jab kabhi chasme tasavvur se ye shabbar dekha
baap ko girya mein beti ke barabar dekha
haye kaisa tha gila aap kahan thay baba
mere baba…