fatema kar rahi thi buka
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere bacche ka ghar lut gaya
roz e ashoor kya aa gaya
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere bacche ka ghar lut gaya
tujhse ummeed aise na thi
maine socha nahi tha kabhi
tere hoote huwe karbala
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
wo meri umd waala jawan
jis ne seene pa khaayi sina
baap se ho gaya wo juda
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
cheh mahine ki naazuk kali
teer se wo bhi chedi gayi
zulm ki ho gayi inteha
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
chaar saala sakina meri
baap ko dhoondne chal padi
mujhse manzar na dekha gaya
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere bacche ka...
thay madine mein aaram se
karbala aa ke be-ghar huwe
qaid khana basana pada
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
haye kaisi musibat hui
tashnagi mein shahadat hui
bas ye kehti rahi fatema
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
chod kar khuld ko aa gayi
maamta haath malti rahi
keh ke ye daagh bhi seh liya
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...
us ne ishrat dua mujhko di
saamne karbala aa gayi
jis ne jis ne ye nauha suna
mere bacche ka ghar lut gaya
lut gaya mere...