dekh kar qaid khane ka manzar
yaad aayi janab e sakina
ashk aankhon se nikle ye keh kar
yaad aayi janab e sakina
jitna royi thi be-pardagi par
utna royi na tashna labi par
dekhli jab bhi choti si chadar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
jab nigahein sabeelon pa tehri
pani peete huwe sab ko dekha
chal gaye saikdon dil pa khanjar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
dekh kar chaand maahe aza ka
khaafila jab koi aate dekha
bachiyon ne kaha peet kar sar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
kamsisni mein agar koi bacchi
baap ke aake seene se lipti
khoon ke ashkon se daaman hua tar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
mashk dekhi jo lipti alam se
ghair haalat hui dard e gham se
bas pahunchte hi farshe aza par
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
jab ye socha ke durre lage thay
jab ye socha ke qaime jale thay
aag lagne lagi dil ke andar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
qaid khane pa pahunchi nigahein
bad gayi shiddat e gham se aahein
jab bhi veeran dekha koi ghar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
jab aseeron ki dekhi sawari
hogaye ashk aankhon se jaari
ruk gaye do qadam paon uth kar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...
binte sibte nabi ki musibat
nazm karta hai ro ro ke ishrat
saath le kar masayab ka lashkar
yaad aayi janab e sakina
dekh kar qaid khane...