Kanz e Aza

Qaid Khane May

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Yasir Raza. Lyrics in Roman Urdu.

qaid khane may na mar jaye sakina baba

ab to aajao bulaati hai hazeena baba


koi baaghi mujhe kehta hai to koi qaidi

aap ke baad hai jeena koi jeena baba

qaid khane may...


aap to jaante hai neend nahi aayegi

na mil amujhko agar aap ka seena baba

qaid khane may...


raah takti hoo mai ammu ki na laute ab tak

un ko keh dijiye pani nahi peena baba

qaid khane may...


kaisa barbaad hua dekho bhara ghar apna

raas aaya na moharram ka maheena baba

qaid khane may...


har ghadi yaad sataati hai behan sughra ki

jaane kab jaaungi mai apne madina baba

qaid khane may...


ro ke kehti thi sakina sar e zindan yasir

aao ab le ke chalo mujhko madina baba

qaid khane may...