qaid khane may andhera hi andhera hoga
is may ek choti si bachi ka janaza hoga
bediyan paon may haathon pa bahan ka laasha
socho kis tarhe se abid ne uthaaya hoga
qaid khane may...
poochti rehti thi zainab se sakina payham
kya watan laut ke humko kabhi jaana hoga
qaid khane may...
wo sakina jise seene pe sulaate thay hussain
kya khabar thi ke tamache usay khaana hoga
qaid khane may...
baaliyan kaano se jab shimr ne cheeni hogi
us ghadi laasha e abbas bhi tadpa hoga
qaid khane may...
har tamache pa ye kehti thi ye kamsin bachi
ay shaki ruk abhi ammu mera aata hoga
qaid khane may...