Kanz e Aza

Shabbir ne Ro Ro ke

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Yasir Raza. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir ne ro ro ke pukara ali akbar

yun chod ke na jao khudara ali akbar


hum jeete rahe aur tumhe aaye shahadat

kaisi hai qayamat

baba ko nahi tere gawara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...


na aun o mohamed hai na qasim hai na ghazi

kya aayi tabaahi

ghar lut gaya pardes mein saara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...


ummat ke liye tum ne lutaayi ye jawani

ay yusuf e saani

ehsaan hai ye hum pa tumhara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...


jab teri shahadat ki khabar payegi zainab

mar jayegi zainab

phir dega usay kaun sahara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...


waarid huwe shabbir jo laashe pa pisar ke

dil thaam ke bole

be rehm tha jis ne tujhe maara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...


yasir kaha sarwar ne ke dam tod rahe ho

moo mod rahe ho

hum jaan gaye tera ishaara ali akbar

shabbir ne ro ro ke...