Kanz e Aza

Qaid Khane Ko

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

qaid khane ko azakhana banane waali

mar gayi sog bhare ghar ka manane waali


hai nami kaisi ye zindan ki deewaron mein

siskiyan kiski hai ye shaam ke bazaaron mein

kya abhi chup na hui ashk bahane waali

qaid khane ko azakhana...


ro ke kehti thi manaun mai bhala gham kaise

ammu batlaiye aakhir karun matam kaise

haath bandhwa bhi chuki khaak udane waali

qaid khane ko azakhana...


door tak aaj ujaala hi ujaala hai jahan

ek din sirf andhera hi andhera tha wahan

qaid thi aansuon ki shamma jalane waali

qaid khane ko azakhana...


pyaas honton pe to aankhon mein dhuan leke gayi

apne chehre pe tamachon ke nishan leke gayi

aag jalte huwe kurte ki bujhane waali

qaid khane ko azakhana...


ban gayi rassi to jaana ke aseeri kya hai

sayliyan khaayi to samjhi ke yateemi kya hai

har ghadi pyaar chacha jaan ka paane waali

qaid khane ko azakhana...


kabhi behte huwe ashkon se wazu karti thi

ghame sarwar mein kabhi dil ko lahoo karti thi

apne baba ke musalle ko bichane waali

qaid khane ko azakhana...


jaake dikhlayegi sab zakhme jigar dadi ko

roke batlayegi roodad e safar dadi ko

berida shaam ke darbar mein jaane waali

qaid khane ko azakhana...


jism par khoon bhare kurte ka kafan leke gayi

beete zakhmon ki tarha yaad e watan leke gayi

khabr ghurbat ka parindo ko sunane waali

qaid khane ko azakhana...


raat din aamir o nayyar bhi na kyun ashk bahaye

soch le uske masayab to kaleje phat jaaye

marsiya ban ke har ek saans pe chaane waali

qaid khane ko azakhana...