Kanz e Aza

Sarwar ki Azadari

A noha written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

aaj har mulk mein sarwar ki azadari hai


hind mein paak mein lebnan mein shabbir ka gham

misr mein rom mein yunan mein shabbir ka gham

hadh hai spain mein japan mein shabbir ka gham

saari dunya ghame shabbir ki phulwari hai

aaj har mulk mein...


abu dhabi pe nazar daalo kabhi qum dekho

waadi e shaam mein shabbir ka chehlum dekho

germany norway sweden mein talatum dekho

barf mein aag lagade ye wo chingari hai

aaj har mulk mein...


kahin london ke azakhano mein hai majlise gham

kahin america ke sadkon pe juloose matam

ghar mein angrezon ke lehraya jari ka parcham

ba khuda amn ka paigham azadari hai

aaj har mulk mein...


kuwait behrain mein muscut mein to doha mein alam

switzerland mein paris mein canada mein alam

shehre makka mein alam shehre madina mein alam

aql hairaan hai ye kaisi alamdari hai

aaj har mulk mein...


libya mein hai azakhane alam sydney mein

china mein kabhi majlis kabhi nairobi mein

goonj matam ki hai tanzania mein turkey mein

yehi matam to mohamed se wafadari hai

aaj har mulk mein...


tum ne dekha hai dehekte huwe angaron ko

unpe chalte huwe sarwar ke azadaron ko

kaash samjho kabhi zanjeer ki jhankaro ko

ghame shabbir jahan hai wahin bedaari hai

aaj har mulk mein...


matame tashnalabi ab bhi hai daryaon mein

shor nauhon ka hai africa ke sehraon mein

karbala bolti hai dard ki bhashaon mein

ab bhi kaunain pe is gham ka asr taari hai

aaj har mulk mein...


kahin adam ki dua hai ye aza e shabbir

kahin musa ka asa hai ye aza e shabbir

haasil e deen e khuda hai ye aza e shabbir

mohtaram kal bhi thi aur aaj bhi meyari hai

aaj har mulk mein...


jiski ghaibat mein ghame sheh ka bharam rakha hai

intezar uska sare deeda e nam rakha hai

har azakhane mein ghazi ka alam rakha hai

aaj phir nusrate shabbir ki tayyari hai

aaj har mulk mein...


likho nayyar ghame sarwar ki ata hai nauha

lafz hyder ke hai zehra ki dua hai nauha

teen sau tera rasoolon ki sada hai nauha

kehdo aamir ke na ye fan hai na fankari hai

aaj har mulk mein...