Kanz e Aza

Shahdaton ki Aabru

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

shahadaton ki aabru

shaheede karbala hussain


imame mashraqain hai

imame maghrabain hai

zameen se aasman tak

hussain hi hussain hai

qaraare qalbe mustafa

sukoone fatema hussain

shahadaton ki aabru...


ibadaton ka aaeena

yaqeen ki jalwagaah bhi

hussain yani deen bhi

hussain deen panaah bhi

bashar ki shakl mein hai tu

khuda ka mojiza hussain

shahadaton ki aabru...


jo sheh rage yaqeen se

teri hayaat jil gayi

tere lahoo ki dhaar se

churi ki dhaar mud gayi

sitam na qatl kar saka

azaan ki sada hussain

shahadaton ki aabru...


hai sar darez paon par

zamane bhar ki azmatein

udhar salaam ke liye

khadi hui hai aayatein

ke pal hai faqre innama

viqare hal ataa hussain

shahadaton ki aabru...


wo tashnagi ke maarikein

faraat ki kahaniyan

wo phool jaise bachpane

rasool si jawaniyan

khuda ka deen kabhi tujhe

bhula na payega hussain

shahadaton ki aabru...


hussain tujhse lad ke khud

bikhar gayi hukumatein

kahan gayi wo saltanat

kahan gayi wo taaqatein

har ek yazeed mil gaya

magar na mit saka hussain

shahadaton ki aabru...


hussain tere naam par

fida hai saare bhaarti

kahin hai tere taaziye

kahin hai teri aarti

barahmano ne bhi tujhe

kaha hai devta hussain

shahadaton ki aabru...


ghuroor e zulm tod do

hawa ke rukh ko mod do

utho hussainiyo utho

dilon se dil ko jod do

banenge khud hi raaste

kaho to milke ya hussain

shahadaton ki aabru...


ye nayyar e alam naseeb

aamir e aseer e gham

firaaq e karbala mein dono

muztarib hai dam ba dam

hai tera waasta inhe

lehed pe phir bula hussain

shahadaton ki aabru...