shaheed e karbala baba
ghareeb ul be-watan baba
bayan karti thi ye sughra
mere be kafan baba
hassan ko zehr pilwaya
tumhe tayghon se katwaya
mitaya rafta rafta yun
nishan e panjetan baba
shaheed e karbala baba...
agar humraah mai hoti
tumhari laash pe roti
gadhaye kar ke pehnaati
tumhe do gaz kafan baba
shaheed e karbala baba...