Sattar Khadam Se Zainab Bhai Ku Dekhti Hai
Sar Kat Raha Hai Khahar Tadhap rahi Hai
1.Narga Hai Zalimou Ka Aur Beech Me Hai Sarwar
Jis Simt Dekhti Hai Gurbat Hai Bekasi Hai
2.Hathou Se Dil Ku Thame Kis Aas-o-Bekasi Se
Maqtal Me Aake Zehra Faryaad Kar Rahi Hai
3.Allah Re Yeh Gurbat Kisku Pukare Zainab
Gash Me Padhe Hai Abid Bete Hai Na Aaqi Hai
4.Dariya Pe Soraha Hai Shaane Kaate Ke Gazi
Qasim Hai Aur Na Akber Khaimou Me Khamoshi Hai
5.Zakhmi Hai Neem Jaan Hai Pyasa Hai Teen Din Ka
Shukr-e-Khuda Zaban Par Houthou Pe Ya Ali Hai
6.Kyun Qatl Kar Raha Hai Bhai Ku Mere Zalim
Shimre Shaqi Se Zainab Faryaad Kar Rahi Hai
7.Khahar Ku Apni Sarwar Hasrath Se Dekhti Hai
Sukhe Gaale Pe Khanjar Houthou Pe Tashnagi Hai
8.Sukhe Gaale Pe Sheh Ke Khanjar Chalaya Zalim
Sar Peeti Hai Zehra Maajayi Gash Howi Hai
9.Tham Tham Ke Run Me Zalim Kaata Hai Halq-e-Sarwar
Gham Se Falak Hai Kaapa Larza Zameen Howi Hai
10.Qayam Rahe Jahan Me Yeh Karwan Aza Ka
Binte Ali Ke Lab Par Mehdi Dua Yehin Hai
11.Mehshar Bapa Hai Mazhar Khaime Me Shahe deen Ke
Mushkil Khusha Ki Beti Mushkil Me Padh Gayi Ha