Kanz e Aza

Sattar Qadam se

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

pyase galay pe bhai ke chalti rahi churi

sattar qadam se pyasi behan dekhti rahi


kehti thi kya isi liye peesi thi chakkiyan

chaadar se saaf karti thi zakhmon ko ro ke maa

zakhmi sar e hussain tha zahra ki godh thi

sattar qadam se pyasi...


roke huwe thay pyar may khanjar ki dhaar ko

bete se kitna pyar tha duldul sawaar ko

rakhe huwe thay sheh ke galay par gala ali

sattar qadam se pyasi...


khanjar se sheh ki zulfein hatane laga layeen

daadi ki simt haath badhane laga layeen

aankhon pe haath rakhe huwe tha har ek nabi

sattar qadam se pyasi...


maqtal may char saal ki zahra ko godh may

ek baar phir uthaale sakina ko godh may

afsos qaatilon se ijazat nahi mili

sattar qadam se pyasi...


chehra watan ki simt wo karta that baar baar

aankhon may tha bhara hua sughra ka intezaar

haye ghareeb e zehra ki aankhein khuli rahi

sattar qadam se pyasi...


kehta tha wo isharon may zainab se jao ghar

aankhon ko bandh kar lo ke kat jaye mera sar

seene pe sheh ke zaanu tha rakhe huwe shaqi

sattar qadam se pyasi...


laasha furaat par kabhi utha kabhi gira

karbobala may hashr takallum bapa hua

abbas tum kahan ho sada jab ye sheh ne di

sattar qadam se pyasi...