azadaron
tum fatema zahra ki dua ho
salamat raho
sheh ke azadaron salamat raho
tum ko sabakh ishq ke sab yaad hai
tum se azakhaane ye abaad hai
apne musalle pe tumhare liye
mehwe dua sayyade sajjad hai
apna payame aza jaari rakho
sheh ke azadaron...
aag dil e zulm mein in se lagi
aansu tumahare hai bahot kheemti
kaise mitayega tumhe ye jahan
tum ho dua maadar e hasnain ki
waada e zehra wafa karte raho
sheh ke azadaron...
tumse ulajhte nahi dunya ke gham
kaisa mila hai tumhe jaah o hasham
badte julooso mein tumhare qadam
rondte jaate hai sipaahe sitam
zer e alam aise hi badte chalo
sheh ke azadaron...
qadam badhta rahe
aao karbala ki taraf
sabr ka paigham sunaate raho
dard ki tasveer banaate raho
aaj bhi soye huwe insaan ko
hyderi naare se jagaate raho
baarvi sarkar ko raazi rakho
sheh ke azadaron...
salamat raho
ishq ki taleem tumahre liye
khuld ki taqseem tumhare liye
pyaas pe mazloom ki rote ho tum
kausar o tasneem tumhare liye
pyason ko pani bhi pilaate raho
sheh ke azadaron...
karte raho shaah pe aah o buka
khushiyan tumhe deta rahega khuda
jafar e sadiq ki hai tumko dua
ghar rahe abaad tumhare sada
tum ko zamane ka koi gham na ho
sheh ke azadaron...
raazi rahe tumse khuda e hussain
ghamga tumhara hai aza e hussain
tumko dikhane ke liye jannatein
karbobala jald bulaye hussain
dil se duayein yehi karte raho
sheh ke azadaron...
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi karbala
leke badhe deen ke paigham ko
tod diya kufr ke asnaam ko
apne usoolon pe rahe muttahid
khalta hai ye dushmane islam ko
farshe ghame shaah pe tum ek ho
sheh ke azadaron...
parchame abbas ka ho sayeban
naame maula badta rahe kaarwan
aale mohamed bhi rahe shadman
aise takallum karo haq ka bayan
daaman e shabbir ko thaame raho
sheh ke azadaron...