falak ka boj akele sambhaal sakta hoo
mai pal mein saare samndar khangaal sakta hoo
ali ka laal hoo abbas naam hai mera
mai aaftab se darya nikaal sakta hoo
alamdar wafa alamdare wafa
ya baabe hawaij ya baabe hawaij
tu ibne saqi ibne saqi ibne saqi hai
jo shay tere darbaar pe maangi wo mili hai
taqdeer tere naqshe qadam pe hi chali hai
hadh hai ke ali kehte hai ye mera ali hai
dunya mein wafa tujshe hi mashoor hui hai
phaylaate hai daaman hum dar pe tumhare
ghazi zara karde qismat ko ishaare
dete rahe hum hashr talak shaah ko pursa
ya baabe hawaij...
bemaar jo momin hai shifa de unhe ghazi
jo qaid hai be-jurm chuda de unhe ghazi
jo bichde hai kunbe se mila de unhe ghazi
mohtaaj e dua jo hai dua de unhe ghazi
jo dushmane matam hai mita de unhe ghazi
qaayam rahe matam bhoole na tera gham
seeno mein sada ho aabaad moharram
har saal bichate rahe hum farsh aza ka
ya baabe hawaij...
ho laakh muqaalif ye zamane ki hawayein
khamosh na ho haye hussaina ki sadayein
hum apni khushi bhoole tera gham na bhulayein
honton pe rahe shukre khuda sehke jafayein
baazu ho juda gar tera parcham na uthayein
aaye tere dar par hum banke sawaali
sadqe tere gham par har gham se ho doori
hojaye har ek dil mein mohabbat ka savera
ya baabe hawaij...
kya khoob nibhaya hai mohabbat ka taqaza
tum jaisi khaayam to koi kar nahi sakta
bachpan se tumhe yaad tha jo dars tha maa ka
shabbir ko samjha hai sada aaqa o maula
aanch aaye na mazloom pe jab tak rahe zinda
tan par jo tumhare baazu hai salamat
sheh ki taraf aaye kis mein hai ye himmat
rehte thay tere rob se aada taho baala
alamdare wafa abbas alamdare wafa abbas
tu ghazi alamdar hai saqqa e sakina
tu sher e dilafgaar hai saqqa e sakina
pyason ka madadgaar hai saqqa e sakina
alamdare wafa abbas alamdare wafa abbas
ya baabe hawaij...
karne laga jab zulm o sitam shaam ka lashkar
mehroom hui aab se jab aal e payambar
jhoole mein tadapta raha cheh maah ka asghar
kya dil pe guzarti thi mere shere dilawar
pani ki sada hoti thi jab pyase labon par
pyare mere ammu kehti thi sakina
pardes mein apna mushkil hua jeena
sehraab kare aale payambar ko khudaya
ya baabe hawaij...
us waqt takallum thi bapa kaisi qayamat
ro ro ke jo sheh kehte thay haye meri ghurbat
aur khoon mein tar saamne thi bhai ki mayyat
uthay na meri laash thi ghazi ki wasiyat
sharminda hoo dekhe na sakina meri surat
aur sheh ka tha nauha haye mera bhai
mai hogaya tanha ki tum ne judaai
marne se tere hogaya gham beta ali ka
alamdare wafa abbas alamdare wafa abbas