ya saarallah ya saarallah
tasveer-e-payambar tha akber
atthara baras ka wo dilbar
wo seena e akbar par naiza aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
thi dhoop ki shiddat aur garmi
uspar takleef-e-tashnalabi
pyaase bachou ki aah-o-buka aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
jab nehr se paani leke chale
abbas ke shaane kaate gaye
tha saamne bhai ka laasha aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
dil khoon ke aansu rota hai
banu ko dilaasa dena hai
hatou'n pe hai lasha asghar ka aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
zainab ke dulaare qatl huwe
the bhaanje jo pyaare qatl huwe
us dukhiya ka sajda-e-shukrana aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
wo leytna jalti reti par
seene pa rakhe dukhtar ka sar
beti se wo lamha rukhsat ka aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
maqtal ki fazaou'n me pehli
roya wo bilak kar jisne suni
ek bibi ke rone ki wo sada aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
sadiyou'n se lahu rulwaate hain
jab yaad kisi ko aate hain
jo tere masayeb hai moula aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
raazi ba reza zer e khanjar
naaza'n tujh par rabbe dawar
wo sajdaye haq me shukre khuda aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
besheer ka khoo'n tha chehre par
lipta huwa seene se asghar
dekha nahi manzar phir aisa aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
laash usko bhala ham kaise kahe
sab jism ke tukde jamma kiye
allah re janaza qasim ka aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala
mohsin ye hamesha hota hai
dil khoon ke aansu rota hai
yaad aati hai jab bhi karbobala aur sabr tera ibne zehra
wo karbobala wo karbobala
wo pyaas ki shiddat sukha gala