labbaik labbaik labbaik labbaik
ya saraatul hussain
gardon se aa rahi hai ye awaaze jibraeel
be-gor o be-kafan hai wo islam ka qateel
zainab hai berida to nahi zakhm ki sabeel
ghurbat mein maara daala hai zehra ke noore ain
labbaik labbaik...
abbase naamwar ke lahoo se dhula hua
ab bhi hussainiyat ka alam hai khula hua
niklo gharon se matame sarwar bapa hua
hone se paaye kam kabhi awaaze shor o shain
labbaik labbaik...
dunya pe gir pada alam e sher e kirdigaar
barchi sitam ki hogayi akbar ke dil ke paar
umme rabab ghash mein sakina hai beqaraar
asghar ko leke aa gaye maidan mein hussain
labbaik labbaik...
allah re wo shimr ka khanjar wo sheh ka sar
hilne lagay thay khaana e kaabe ke baam o dar
dharti to kya falak ka bhi tukde hua jigar
sakte mein maghrabain thay sakte mein mashraqain
labbaik labbaik...
aale rasool qaid huwe wa musibata
karbobala se lute ke chale wa musibata
durre laga rahe hai layeen wa musibata
paamaliyon ki zad pe hai zehra k noor e ain
labbaik labbaik...
mauje furaat sharm se daaman bhigo gayi
baali sakina hichkiyan le le ke sogayi
qaime jale ridayein chini shaam aa gayi
qabre nabi hilaste hai saydaniyon ke bain
labbaik labbaik...
nasir hussain nusrate shabbir farz hai
bachon pe azme asghar e baysheer farz hai
maaon pe hukme zainab e dilgeer farz hai
yaane bapa ho charon taraf matame hussain
labbaik labbaik...