Kanz e Aza

Yaad Zainab Ko

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Shams Baltistani. Lyrics in Roman Urdu.

sar se zaalim ne cheen li jo rida

yaad zainab ko aa gaya ghazi


dil mein ehsaas bebasi ka hua

yaad zainab ko aa gaya ghazi


jis ke athara bhai karbal mein

sogaye aaj khaak e maqtal mein

shaam jaati hai ban ke wo qaidi

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...


thay masayab yahan bhi zahra ke

neel chehre pe thay sakina ke

jab chini baaliyan sakina ki

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...


mai hoo zainab sadayein deti thi

keh ke sar khaak se chipaati thi

sar pa mere rida thi zehra ki

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...


naaz parde pa kyun na ho us ko

jis ka abbas jaisa bhai ho

us ki chadar sina pe jab aayi

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...


qalbe zehra ka chain dhoondti hai

ran mein zainab hussain dhoondti hai

dekha jab ran mein bekafan bhai

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...


shams o rehan kaise wo gham thay

tauq o zanjeer mehwe matam thay

jab rasan zaalimon ne pehnayi

yaad zainab ko aa gaya ghazi

sar se zaalim ne...