Kanz e Aza

Ye Bole Hazrate

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Fikr Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ye bole hazrate abbas aa ke sarwar se

ke sabr ho nahi sakta hai ab is ahqar se


hai bache tashna dahani se jaan balab maula

sada e al'atash aati hai qaimon ke dar se


jo izn e jang nahi laane dijiye pani

ke meri pyari sakina na aab ko tarse


ye sunke hazrate shabbir ne jhukaya sar

samajhli bhai ki marzi sukoote sarwar se


utha ke mashk o alam aur le ke ek naiza

chala dilayr raza paate hi baradar se


bhaga ke fauje sitam aur bhar ke nehr se mashk

suye khayaam phire ladte fauje akfar se


thi mashk dosh par aur dast e raast mein naiza

jo ek layeen ne kiya us pa waar khanjar se


sambhala mashk o alam baaye haath se lekin

tamaam fauj ki thi jang ek dilawar se


bil aakhir us pe bhi talwaar ek shaqi ki padi

lahoo ka beh gaya darya tan e mutaahar se


magar thi koshishe abbas pani bach jaye

ke surkh roo hoo pilaakar mai binte sarwar se


daba ke daanton mein tasma badhe thay aap abhi

ke aa ke teer pada lashkare sitamgar se


idhar to mashk chidi dhaar nikli pani ki

ek aah sard udhar nikli qalb e muztar se


kuch aur aage bade thay ke sar pa gurz pada

khitaab kar ke kaha tab jari ne sarwar se


ke jaan apni fida ki ghulam ne maula

dua hai sayr hoo ab deede roohe anwar se


sada ye sun ke kamar thaam ke chale hazrat

ye kehte jaate thay ro ro ke shaah akbar se


kidhar se aayi nida jald le chalo beta

ke marte waqt galay mil loo mai baradar se


gharaz ke pahunche to ghaltan thay khoon mein abbas

na dekhi jaati thi haalat jari ki sarwar se


utha ke sar rakha zaanu pa aur ro ke kaha

agar ho koi tamanna kaho baradar se


kaha ye hazrate abbas ne ke ay aaqa

tha dil mein shauq e ziyarat magar muqadar se


ek aankh teer se zakhmi hai aur doosri par

jama hai khoon nikal kar shigaafta sar se


aba ka daaman utha kar wo khoon shahe deen ne

chudaya dasht mein ro ro ke daste athar se


rukhe hussain ko hasrat se dekh kar ek baar

khareeb apne bula kar kaha ye akbar se


mujhe yaqeen hai pase qatle fauje kufa o shaam

karengi be adabi jism e shaahe safdar se


sipurd kar ke meri laash ibne saad ko tum

meri taraf se ye keh dena baaniye shar se


ewaz hussain ke pamaal kar de laash meri

ke roz e hashr khijaalat na ho payambar se


khitaab sheh se kiya phir ke mere laashe ko

huzoor uthaye na lillaah is jagah par se


kiya tha waada sakina se pani laane ka

hoo sharmsaar mai aaqa ki pyari dukhtar se


ye kehte kehte sidhaare suye jinaa abbas

hussain roye lipat kar tan e baradar se


dua karo bas ab ay fikr tum ke ya abbas

khareeb qabr milay rauza e munawar se