ay shimr zara kuch rehm to kha ye choti zehra hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm to kha ye choti zehra hai
nadaan hazeena hai masoom sakina hai
na maar isay naazon se isay shabbir ne paala hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
sajjad ki behna ko ghazi ki bhatiji ko
maanga hai kaneezi may us phool si bachi ko
sheh ne apne sajdon may jise allah se maanga hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
daudenge agar naaqe kis tarha se sambhlegi
gar raah may gir jaaye awaaz kise degi
pushte naaqa par kyun tanha rassi se baandha hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
kya jurm kiya is ne kyun is ko rulaata hai
dikhla ke isay pani matti pe bahaata hai
kya teri koi aulaad nahi kyun zulm ye dhaata hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
rone na diya is ko baba ke laashe par
hai neel tamachon ke masooma ke chehre par
allah jaane ye is pe sitam kis baat ka badla hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
haan ek raat sar e zindaan shabbir ka sar aaya
sar le kar godi may bachi ne kiya nauha
aankhein kholo baba dekho ye kaun zaeefa hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
masoom ki gardan may baandhi hai rasan aise
guth jayega dam iska mai tez chalun kaise
ye kehta hua beemar mera kham ho kar chalta hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
turbat pe sakina ki abid ne kaha hoga
ye meri amaanat hai rakhna tu khayaal iska
baba bhi nahi ammu bhi nahi be-aas yateema hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...
rauze pe nazar jab bhi ay shadman jaati hai
phir qalbe takallum ko ye baat rulaati hai
sadiyan guzri choti bibi zindan may tanha hai
masoom sakina hai masoom sakina hai
ay shimr zara kuch rehm...