ye duqtar beemar ne shabbir ko likha kab aaoge baba
bin aapke marne ke qaree'n hai ye mareeza kab aaoge baba
akbar se kaho bhool gaye kya mujhe bhayya kaisi hai ruqayya
aati hai bohot yaad behen fatima kubra kab aaoe baba
gar mujhko kisi wajah se bulwa nahi sakte ya band hai raste
lillah faqat likh ke mujhe bhej ko itna kab aaoge baba
sun sun ke qabar aapki mai houl ku khaati bhar aati hai chaati
kab dil se mere jaayega waswaas ye mera kab aaoge baba
hai aap maseehaae zamaa'n rehmate aalim, ya syede akram
beemar hu dil mera dukhaana nahi acha kab aaoge baba