ye ghame shabbir hai dunya ko bataate chalo
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
is ghame shabbir ko kaise bhulaaenge ham
hashr tak ahle jahan isko sunaaenge ham
daagh jo matam ke hai sab ko dikhaaenge ham
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
ashke azaae hussain hashr me kaam aaenge
saamne zahra ke ham rote hue jaaenge
shaafaye mehshar se ham iska ajar paayenge
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
ahle aza aapko deti hai zahra dua
inko tu aabad rakh paalne waale quda
ye mere farzand par rote rahenge sada
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
kitna alamnaak hai maarekaye karbala
iska har ek baab hai khoon me dooba hua
kehte the khud jibrayeel zulm tha had se siwa
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
arzo samaa roe hai , roe hai kul ambiya
rote hue aaye hai karbala me mustafa
isliye ahle aza karte hai aaho buka
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
saaniye zahra ke laal haq pe fida hogaye
qasime noushah bhi maa se juda hogaye
qatl alamdar bhi ahle aza hogaye
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
dekh ke akbar ko ye kehte the ibne ali
ye mera farzand hai hoobahu shakle nabi
aise jawa'n bete ke seene me barchi lagi
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo
sirf bahattar the wo laakh thi fouje sitam
aise bahattar the wo rakh lie khud ka bharam
mit nahi sakta *kaleem* aise bahattar ka gham
karke baya'n zikre gham sabko rulaate chalo