Yeh Kis Shaheed Ki Mayyat Hussain Laate Hain
zamee'n Larazti Hai Aflaak Thar Tharate Hain
1. Padi Hain Bikhri Huvi Tan Pe Sehre Ki Ladiya'n
yeh Phool Zaqmou'n Ke Tan Pe Sajaye Aate Hain
2. Khadi Hai Dar Pa Jo Maa Peet-ti Huvi Sar Ko
dikhaye'n Laashe Ko Kaise Yeh Soche Jaate Hain
3. Lipat Ke Laate Hain Chadar Ke Goshe Me Rakh Kar
sarou'n Pe Khaak Baraati Sabhi Udhate Hain
4. Dulhan Na Aaye Kahin Shor-e-girya Ko Sunkar
toh Baar Baar Abaa Me Ise Chupate Hain
5. Yeh Kaisi Laash Hai Baandhi Huvi Hai Gathri Me
bata Rahe Hain Kisi Ko Kabhi Chupate Hain
6. Uthake Laate Hain Shabbir Laash Dulha Ki
laraz Raha Hai Badan Pau'n Thar Tharate Hain
7. Khade Hain Khaime Ke Dar Par Jo Aake Ahl-e-har
baraat Dekh Ke Dulha Ki Rote Jaate Hain
8. Macha Hai Khaimou'n Me Kohraam Haaye Qasim Ka
hussain Laash Se Chadar Ko Ab Hatate Hain
9. Le Aayi Laash Pe Baazu Ko Thaam Kar Madar
dulhan Ko Dulha Ka Deedaar Ab Karate Hain
10. Sajaye The Abhi Sandal Se Maang Haaye Ghazab
usi Ko Bewa Ka Ab Pairahan Pinhate Hain
11. Saroun Pe Khaak Udhao Mujaab Peeto Sar
yeh Aisa Gham Hai Ke Is Gham Me Khoo'n Bahate Hain