aina aina aye ali akbar
kaha'n ho -2
kuch reham khao baap hai is darja sogwaar
qasim na aun aur na abbas e zeeweqaar
dhundu'n kahaa pe aata nahi kuch nazar
lasho se ran me thokre khata hu baar baar
qaabu nahi hai dil pe na aaza pe ikhteyar
qasim ke gham ne kar diye tukde dil o jigar
beta ye tera baap hai is waqt zinda laash
ankhou ka noor bhi nahi kaise karu talaash
qam hai tere chacha ke alam se meri kamar
teri phupi nikal na pade qaimagaah se
athhara saal paala hai us ne to chaah se
le jau tum ko uske mai aane peshtar
jab se suni hai teri sada maa hai beqaraar
seene ko pakde poochti hai mujh se baar baar
kis ne kiya salaam ye ran se pukaar kar
mushkil kusha ke pote ho mushkil ka waqt hai
pohancho madad ko baap pe manzil ye saqt hai
ek baar phir pukaaro to ajaiye pidar
qat aaya hai watan se behan ka ise padho
uth kar jawaab fatima sughra ko kuch likho
tayyar wapsi pe hai sughra ka nana bar