Kanz e Aza

Aina Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Rizvi Sachey. Lyrics in Roman Urdu.

ghode se ran mein jab gire hamshakle mustafa

baba mera salaam ho di aakhri sada

daude kamar ko thaam ke yun shaahe karbala

aankhon se ashk jaari thay honton pe marsiya

aankhon ka noor kho gaya dhoondun kahan tujhe

beta kahan ho aakhri awaaz do mujhe


aina ali akbar aina ali akbar

awaaz do baba ko kahan ho mere dilbar


dikhta nahi aankhon se sada do mujhe beta

girta hoon sambhalta hoon jigar thaam ke tanha

ghurbat pe tere baap ki haste hai sitamgar

aina ali akbar...


beta utho seene se zara haath hatao

dikhlao hamay kya hua hum se na chupao

yun thaam ke dil aediyan ragdo na dilawar

aina ali akbar...


kya haal mere laal tera hogaya haye

allah kisi baap ko ye din na dikhaye

peeri mein falak ne hamay dikhlaye jo manzar

aina ali akbar...


kis tarha mere laal tere dard ko thaamun

seene se tere kis tarha barchi ko nikalun

aajaye kaleja na kahin seene se baahar

aina ali akbar...


yun chod ke ghurbat mein na jao mujhe beta

bas tum hi ho jeene ka sahara mere beta

kis tarha teri laash uthaunga mai dilbar

aina ali akbar...


maadar se teri jaa ke bhala kaise kahunga

akbar ko tere ran mein qaza aagayi laila

wo dekh rahi hogi teri raah khule sar

aina ali akbar...