kahin hurmat khuda ke ghar ki na pamal ho jaaye
tabhi farzand e kaaba hajj ko umreh se badal aaye
hussain ibn ali se taalib e bayyat jo dar aaye
ali ka sher biphra ghaiz se maathe pe bal aaye
sar e bait e khuda qamre bani hashim nazar aaya
ghazab se hazrat e abbas ne logon se farmaya
sabhi hamd o sana uski ke jo hai khaaliq e akbar
zacha khaana mere baba ka ban jaata hai jis ka ghar
ye eenton ka makan kaaba bana jab aagaye hyder
sadaf ki qadr o qeemat kuch nahi hoti hai be gohar
ye qiblagaah e aalam asl mein tatheer ka ghar hai
wirasat hai mere ajdaad ki shabbir ka ghar hai
aray o kafiron roka hai jinka raasta tum ne
hai inki qurbatein nazdeek tar allah ke ghar se
agar mabood ki marzi nahi hoti to khud bad ke
ye hajr e aswad e kaaba mere maula ke le bose
jo farzand e nabi ke hukm ka pehra nahi hota
ye kaaba ek ghadi apni jagah tehra nahi hota
agar marzi ye haq mansha mere maula ki na hoti
uqaab e hashmi ban kar karun parwaz mai aisi
parinde jitne udte hai hawaon mein ye bayyat ki
gire kat kat ke rayti pe bache na koi bhi baaqi
hussain ibne ali ke waste sar ko kata doonga
jo uthi aankh aaqa ki taraf to noch daalunga
aray o buzdilon tum maut se kis ko daraate ho
hamay taygh o sina teeron kaman kyun kar dikhate ho
bani hashim ki jurrat aur shuja'at aazmate ho
ali ke sher ko lalkaar kar ghairat dilaate ho
saja rakhte hai har pal maut ko hum apni raahon mein
hamare ghar ke bacche khelte hai iski baahon mein
kahan wo bad nasab fasiq sharabi ghasib o makkar
kahan aali nasab aur chashma e kausar ka ye sardar
zara socho ke kis ka ghar raha badkaar o bad kirdar
utaara kis ke ghar allah ne quran sa shaahkar
burayi ka sarapa wo ye sachayi ka paikar hai
wo ibne mawiyah tehra ye taahir ibn hyder hai
chali rasme jahalat phir quraishi hum sifat tum se
wo pyase mustafa ke khoon ke thay tum nawase ke
na kar paaye jafa ahde ali mein ashqiyan jaise
hai zinda jab talak abbas tum kuch kar na paoge
koi haasil nahi mansooba e baatil ka ahle shar
khuda ka ghaiz tum par aur tumhari saari naslon par