jab laasha e farzande nabi ho gaya pamaal
us waqt ajab haal mein thi fatema ki aal
tareekh ne kuch is tarha likha hai wo ehwaal
sab bibiyon mein ek tha bibi ka bura haal
bechaini se aati thi dare qaime pe har baar
bachon ko sameinte huwe kehti thi dilafgaar
ay jari diler bawafa
baazu e shaheede karbala
jaane fatema o murtuza
tashnalab sakina ke chacha
kisko de sada zainab
fauj ab qareeb aayi
ay hussain ke bhai
aap ko nahi hai ye khabar
lut gaya hai fatema ka ghar
so rahe ho jaa ke nehr par
naize pe rakha hai sheh ka sar
kisko de sada zainab…
akbar-e-jawan nahi raha
bezuban bhi qatl hogaya
qasim-e-hazeen bhi chal basa
khaatema hua sipaah ka
kisko de sada zainab…
kis tarha bataun ran ka haal
laash ko karenge paemaal
bhai ka karo to kuch khayaal
shaah-e-laafatah ke laal
kisko de sada zainab…
karti hai rabab ye fughan
hone ko hai raat ab ayaan
ran mein hai hamara bezuban
le ke aaye usko bhai jaan
kisko de sada zainab....
qaimon ko jala na de layeen
loot le na maal-o-zar kahin
kya karega abid-e-hazeen
usko tab se hosh hi nahin
kisko de sada zainab…
fauje shaam baaniye jafa
jaan ke akela benawa
karde zulm ki na inteha
cheen le ne aa ke ye rida
kisko de sada zainab…
kin jafaon ka ho taskira
shaam-e-gham mein aale mustufa
hogayi ghamon mein mubtila
lab pe thi anees ye buka
kisko de sada zainab…