Kanz e Aza

Noha Lubaba ka Tha

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

nauha lubaba ka tha abbas jalad aao

waqte madad hai waali ab dayr mat lagao


kis yaas se sadayein hal min ki de rahe hai

narghe mein hai adoo ke aaqa unhe bachao

nauha lubaba ka tha...


tanhaai bekasi ne ghera hai har taraf se

lillaah is bala se aakar unhe chudao

nauha lubaba ka tha...


chalni badan hai saara zakhmon se khoon rawan hai

apni wafa ka marham laa kar zara lagao

nauha lubaba ka tha...


betaab hoke dar tak shehzadiyan gayi hai

dhalki hai sar se chadar aakar zara udhao

nauha lubaba ka tha...


aaqa ke tan se sar ki lo hogayi judaai

be-sar ki laash koi qaime mein ran se lao

nauha lubaba ka tha...


pamaal kar rahe hai sibte nabi ka laasha

mushkil kusha ke dilbar aao madad ko aao

nauha lubaba ka tha...


kuch sa'aton ki bewa karti rahi jo ro kar

tum bhi anees nauha wohi hamay sunao

nauha lubaba ka tha...