kiya abbas ne hamla
sare saahil wafa chamki
kaha lashkar ne bhago
barqe noore murtaza chamki
adoo bhi dekh kar abbas ko
aapas mein kehte thay
jala daalegi saahil ko
jo ye bijli zara chamki
kiya abbas ne...
sada e laa'fata se
aaya e tatheer tak suniye
ali ki taygh ran mein
ghar mein zehra ki rida chamki
kiya abbas ne...
gira azraq bhi marhab ki tarha
ghode se do ho kar
hassan ke laal ki talwar jab
naame khuda chamki
kiya abbas ne...
bana deewar mein dar
buth giray taaqon se kaabe ke
haram mein barq e noor e hyderi
be inteha chamki
kiya abbas ne...
ada jo zer e khanjar ho gaya
us ek sajde se
falak sharma gaya
aisi zameen e karbala chamki
kiya abbas ne...
jagah dene lage ahle nazar
dil mein salaamon ko
tere ash'aar mein mahir
jo saalik ki ada chamki
kiya abbas ne...