phool sehraon may abid ne khila daale hai
kitne veeran baharon ne basa daale hai
phool sehraon may...
dekho abbas ki nazron ko labe nehre furaat
ek bijli se kayi toor jala daale hai
phool sehraon may...
maalik o meesam o ammar abuzar belhol
ishq e hyder ne bhi deewane bana daale hai
phool sehraon may...
ulfate aal e mohamed ko duwaein deeje
baara raaste dare jannat ke bana daale hai
phool sehraon may...
maatam e shaah may uth'ti hui aawazon ne
naksh bayyat ke jahan paaye mita daale hai
phool sehraon may...
sar ba sajda nazar aate hai khudaayan e haram
sar khudaon ke bhi hyder ne jhuka daale hai
phool sehraon may...
taygh e hyder se bhi kuch tez hai shamsheer e hussain
isne to kufr ke bhi aasaar mita daale hai
phool sehraon may...
khaynch kar khuld dar e aal e nabi par mahir
door ke raaste nazdeek bana daale hai
phool sehraon may...