Kanz e Aza

Kinare Furat ke

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

kat kar gire thay kal jo kanare furaat ke

wo haath aasra hai hamari nijaat ke


hai thokron mein aaj bhi abbas ke furaat

aise dhani bhi hote hai dunya mein baat ke

kat kar gire thay...


unse ba-zor e taygh ye bayyat ki koshishein

jo fatha dhaal dete hai saanche mein maat ke

kat kar gire thay...


haste ho aansuon pe hamare khuda gawah

hum jamma kar rahe hai waseele nijaat ke

kat kar gire thay...


karbobala mein teer e sitam kha ke ek sagheer

lehra gaya jahan pe parcham hayaat ke

kat kar gire thay...


tera hi dil tha tu ne uthaali jawan ki laash

sadqe hussain is tere paaye sabaat ke

kat kar gire thay...


kis jaa chupe ho ay ali asghar jawab do

maadar bhatak rahi hai andhere mein raat ke

kat kar gire thay...


hum bhi ghulame hurr hai karam ay shah e umam

kab se hai muntazir nazr e iltefaat ke

kat kar gire thay...


ho jaaye munharif ye zamana to fikr kya

hum fatema se lenge silay nauha jaat ke

kat kar gire thay...