laashe akbar utha rahe hai hussain
karlo roshan ke aa rahe hai hussain
laashe akbar utha…
jis jagah rakh rahe hai peshani
faqre kaaba bana rahe hai hussain
laashe akbar utha…
ladkhadaye hai ambiya ke qadam
jis jagah muskura rahe hai hussain
laashe akbar utha…
do sada ho kahan ali akbar
thokare ran mein kha rahe hai hussain
laashe akbar utha…
jao qaime mein jao ay zainab
laash akbar ki laa rahe hai hussain
laashe akbar utha…
aah karte hai baith jaate hai
kiska laasha utha rahe hai hussain
laashe akbar utha…
chunke qasim ki laash ke tukhde
apne daaman mein laa rahe hai hussain
laashe akbar utha…
dil ki quwwat dikha rahe hai hussain
laashe akbar utha…