laashe pa kar rahi hai laila ye nauha khani
nazron mein phir rahi hai akbar teri jawani
allah walon bolo aakhir uthaye kyun kar
mayyat jawan pisar ki sarwar ki natawani
laashe pa kar rahi...
ghairon ka phir gila kya jab kalmago ke haathon
hamshakle mustafa ki mit-ti hai naujawani
laashe pa kar rahi...
sheh bolay maarte ho tum kis ke dil pe barchi
ay kalma padne walon ye hai nabi ka saani
laashe pa kar rahi...
naazon mein palne wala naizon ki zad mein aaya
zainab suna rahi hai ye dard ki kahani
laashe pa kar rahi...
laashe pe naujawan ke laila ye keh rahi thi
nasoor ban gayi hai bin tere zindagani
laashe pa kar rahi...
behosh ho gayi thi sunkar watan mein sughra
zainab ne thi sunayi akbar ki jab sunani
laashe pa kar rahi...
ranj o gham o alam se abbas ko bacha lo
laila ke laal karke irfan pa meherbani
laashe pa kar rahi...