Kanz e Aza

Laashe Pe Naujawan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain

ek kohraam tha qaime mein jo maula ne kaha


laashe pe naujawan ke chadar udhao zainab

akbar ka zakhmi seena maa se chupao zainab


beenayi bhi nahi hai khat kis tarha padhunga

mai us se kya kahunga

qasid hai aane waala is ko jagao zainab

laashe pe naujawan ke...


bhai ka gham uthana aasaan nahi hai bibi

jee bhar ke ro le wo bhi

qaime mein naujawan ki behnein bulao zainab

laashe pe naujawan ke...


kar lo behan tasavvur armaan kuch to niklein

hum sehra pad rahe hai

tum apne naujawan ko dulha banao zainab

laashe pe naujawan ke...


kurta lahoo mein tar hai mil jayega kafan bhi

khwahish bhi hogi poori

akbar ki shadi waali poshak lao zainab

laashe pe naujawan ke...


shayad isi tarha se dil ko qaraar aaye

beenayi laut jaaye

aankhon se naujawan ka kurta lagao zainab

laashe pe naujawan ke...


mujhse zyada tum se nazdeek ye raha hai

tum ko to sab pata hai

akbar ke bachpane ki baatein sunao zainab

laashe pe naujawan ke...


laila ka haal ajab hai jab se khabar hai aayi

deta nahi dikhayi

baazu pakad ke maa ka laashe pe lao zainab

laashe pe naujawan ke...


laasha liye takallum qaime se sheh jo nikle

ro kar behan se bole

rukhsat yahin se kar do baahir na aao zainab

laashe pe naujawan ke...